Ruksati Hote Hii Maa-Baap Kaa Ghar Bhul Gayi
Bhai Ke Chehron Ko Behano Kii Nazar Bhul Gayi
Ghar Ko Jaati Hui Har Rehguzar Bhul Gayi
Main Woh Chiriya Hoon Jo Apna Shazar Bhul Gayi.
Main Tow Bharat Mein Mohabbat Ke Liye Aayee Thi
Kaun Kehta Hai Huqumat Ke Liye Aayee Tthi
Main Jis Desh Mein Aayee Tthi Wahi Yaad Raha
Hoke Bewa Bhi Mujhe Apna Pati Yaad Raha
Nafraton Ne Mere Chehre Ka Ujaala Cheena
Jo Mere Paas Ttha Woh Chahne Wala Cheena
Sar Se Bacchon Ke Mere Baap Kaia Saaya Cheena
Mujhse Girija Bhi Liya, Mujhse Shivala Cheena.
Ab Yeh Taqdeer Tow Badli Bhi Nahin Jaa Sakti
Main Woh Bewa Hoon Jo Itly Bhi Nahin Sakti
Aag Nafrat Ki Bhala Mujhko Jalaney Se Rahii
Chhorkar Sabko Musibat Mein Tow Jane Rahii
Sab Mere Bagh Ke Bul-Bul Ki Tarah Lagte Hain
Saare Bacche Mujhe Apno Ki Tarah Dikhtey Hain.
Apne Ghar Mein Bahut Der Kahan Rehti Hain
Ghar Wahi Hota Hai Aurat Jahan Pe Rehti Hain.
Har Dukhi Dil Se Mohabbat Hai Bahu Kaa Zimma
Har Barey-Boorhe Kii Khidmat Hai Bahu Ka Zimma.
Ghar Ki Izzat Ki Hifazat Hai Bahu Kaa Zimma
Apne Mandir Mein Ibaadat Hai Bahu Ka Zimma.
Har Ekk Behan Mujhe Apni Behan Samajhti Hain
Har Ekk Phool Ko Titli Chaman Samajhi Hain
Hamare Dukh Ko Yeh Khaak-E-Watan Samajhti Hain
Yeh Duniya Mujhe Ab Bhi Dulhan Samajhti Hain
Main Aabroo Hoon Tumhari Tum Aitbaar Karo
Mujhe Bahu Nahin Beti Samajh Ke Pyaar Karo.