Rukhsatt Kar Diya Use Haste Hue Ye Sochkar
Ki Shayad Aane Waale Kal Me Phir Se Mulaqaat
Ho,
Barso Umar Kaat Di Kaddi Dhoop Me Ye Sochkar
Ki Shayad Kal Phir Se Barsaat Ho,
Har Sawere Ko Bekhudi Me Thukra Diya Hamne
Ye Sochkar Ki Shayad Iske Dhalte Hi Milaan Ki
Haseen Raat Ho,
Iss Liye Khamosh Rakha Khud Ko Ta-Umar Hamne
Dil Ki Chahat Thi Baat Sirf Dilbar Ke Saath Ho,
Har Lamhe Ko Har Gamm Ko Saheza Dil Me Apne
Taaki Aane Wale Kal Me Beet Chuke Kal Ki Yaad
Ho,
Khud Hi Zala Diya Ghar Apna Hamne, Kyunki Ye
Zaroori Tha Ki Unka Ghar Aabad Ho,
Ye Sochkar Na Dikhaye Jhakham Hamne Mehfil
Me, Ki Kahiin Sareaam Na Unka Zamiir Daagdaar
Ho,
U Kuch U Kiya Namuraad Hamne Khud Ko
Mohabbat Me Ki, Pyar Me Dhokha Khaane Wale
Har Insaan Ko Hamse Pyaar Ho