Roz Ki Wahi Ghutan Roz Ki Wahi Kasmakash
Koi Kisi Ke Sir Ka Ooper Koi Kisi Ke Paawn Ke Neeche
Koi Kisi Ko Pairon Se Dabaata Koi Kisi Ko Chonch Chubhata
Roz Ki Wahi Dincharya Ek Pinjade Se Doosre Mai Daale Jana
Pehle Bade Se Chote Mai Phir Chote Se Chaaku Ki Tej Dhaar Ke Neeche Aana
Roz Milte Kuch Naye Dost Aur Roz Hi Khatam Hote Puraane Saathi
Kiski Maut Kiski Zindagi Sab Kuch Akkar-Bakkar Jaisa Khel
Kabhi Naya Paas,To Kabhi Purana Fail Roz Ki Eisi Dincharya Me
Ek Roz Bade Pinjade Se Chote Main Daaltai Samay
Phisal Gaya Wo Oon Haathon Se Aur Daurne Laga Khule Aasman Ke Neeche
Kabhi Sadak Ke Eis Oor Fudakta To Kabhi Gadiyon Se Bachta Doosri Oor Pahuchta
Puri Koshis Kar Raha Tha Wo Oon Kroor Haathon Se Bachne Ki
Lekin Kab Tak? Thori Si Aapa-Dhaapi Ke Baad
Aakhir Pakar Hi Liya Gaya Aur Pahucha Diya Gaya
Oosi Ghutan Bhare Mahaul Me Pinjade Me Pare Sochne Laga Wo Abhi Bitaaee
Apni Pal Bhar Ki Aazadi Ke Baare Mai Aur Do Minut Ka Ye Romaanch
Oose Pankh Far-Farane Ko Mazboor Kar Deta Mano Wo Bayan Kar Raha Tha
Apni Khusi Ko Izhaar Kar Raha Tha Apne Naye Anubhav Ko
Tabhi Achanak Graahak Ke Aane Par Darwazaa Khula
Ek Kroor Hath Andar Aaya Aur Eis Bar Oosne Khud Ko Hi Oski Pakad Me Paaya
Thori Far-Farahat/thori Cheekh Aur Shabd Sunaai Pade