Roz Badalte Mausam Jaise Kabhi Na Badli Tanhaye
Isiliye Humko Lagti Hai Sabse Achchi Tanhaye
Khamoshi Ki Sard Hawayen Lekar Aayee Tanhaye
Dhup Khayal-E-Yaar Ki Nikli, Pal Mein Pighli Tanhaye
Lagta Hai Phir Aaj Sheher Mein Koi Tanha-Tanha Hai
Dhund Rahi Hai Phir Koi Dil Dur Bhatakti Tanhaye
Yaadon Ke Jab Phool Khkilein To Dil Ka Aalam Kya Kahiye
Har Lamhe Mein Ghul Jaati Hai Kisi Mehek Si Tanhaye
Veeranon Ki Chhat Sir Pe Aur Sannaton Ki Deevarein
Meri Duniya Hai Itni Si Main Aur Meri Tanhayee
Beetey Huve Khushrang Palon Ke Dil Pe Saye Lehraye
Ik Chandi Ka Moti Ban Kar Aankh Se Tapki Tanhayee
Besabri Se Har Ek Lamha Wo Bhi Guzara Karti Hai
Sooraj Duba Sham Dhali Aur Ghar Se Nikli Tanhaye
Uski Zuban-E-Khamoshi Ko Samjhna Koi Khel Nahin
Mehfil Wale Kya Samjhenge Kya Hai Kehti Tanhaye
Khush Hota Hun To Lagta Hai Har Pal Mujhko Ae ‘Praveen’
Merey Naam Na Ho Jaaye Phir Aaj Kisii Ki Tanhaye