Roya Tha Dil Magar Aankhen Thi Jo Harkadam Muskurai,
Haan!! Shayad Yeh Bhi Ek Rasm-E-Ulfat Thi Jo Maine Nibhai.
Na Jan Paya Me Ye To Ke Kaise Rishto Me Aa Jati Hai Judai,
Samaja To Yahi Ke Jimmedar Iske Liye Halaat The, Na Ke Uski Bewafai.
Badal Chuke Hai Humdum Ab To, Jis Pal Se Baji Hai Ghar Unke Shehnai,
Sath Hai Mere Agar Koi To Sirf Do Muskurate Aansu Aur Meri Tanhai.
Na Bahe Ab Kabhi Bhi Ashk Teri Aankhon Se, Mangta Hai Dil Bas Yahi Duhai,
Khuda Kare Ke Mil Jaye Tujhko Vo Sari Khushiyan Jo Rab Ne Mere Liye Banai.
Chhidi Dastan Jab Kabhi Anjam-E-Mohabbat Ki, To Baat Yahi Mene Dil Ko Samjayi,
Pana Likha Tha Unko Jis Lakir Me, Vo Khuda Ne Humare Haatho Me Nahi Sajayi.

By Sanket Kalyani