Roti Se Jis Ka Naak Talak Payt He Bhara
Karta Phiray He Kya Wo Uchal-Kood Ja Ba Ja
Deewar Phaand Kar Koi Kotha Uchhal Gaya
Thaththa Hansi Sharaab Sanam Saqi Iss Siwa
Sau Sau Tarah Ki Dhoom Machaati Hein Rotiyaan
Poocha Kisi Ne Ye Kisi Kaamil Faqeer Se
Ye Mehr O Maah Haq Ne Banaae Hein Kahey Ke
Wo Sun Ke Bola Baba Khuda Tujh Ko Khair De
Hum To Na Chaand Samjhe Na Sooraj Hein Jaante
Baba Hamein To Ye Nazar Aati Hein Rotiyaan
Phir Poocha Usnay Kahiye Ye He Dil Ka Noor Kya?
Iss Ke Mushahide Mein He Khulta Zahoor Kya?
Wo Bola Sun Ke Tera Gaya He Shaoor Kya?
Kashful Quloob Aur Ye Kashful Quboor Kya?
Jitne Hein Kashf Sub Ye Dikhaati Hein Rotiyaan
Roti Jab Aae Payt Mein Sau Qand Ghul Gaye
Gulzaar Phoole Aankhon Mein Aur Aish Tul Gaye
Do Tar Niwaale Payt Mein Jab Aake Dhul Gaye
Chauda Tabaq Ke Jitne The Sab Bhayd Khul Gaye
Ye Kashf Ye Kamaal Dikhaati Hein Rotiyaan
Roti Na Payt Mein Ho To Phir Kuch Jatan Na Ho
Maylay Ki Sair Khaahish E Baagh O Chaman Na Ho
Bhooke Ghareeb Dil Ki Khuda Se Lagan Na Ho
Sach He Kaha Kisi Ne Ke Bhooke Bhajan Na Ho
Allah Ki Bhi Yaad Dilaati Hein Rotiyaan
Kaprray Kisi Ke Laal Hein Roti Ke Waaste
Lambay Kisi Ke Baal Hein Roti Ke Waaste
Baandhe Koi Rumaal Hein Roti Ke Waaste
Sab Kashf Aur Kamaal Hein Roti Ke Waaste
Jitne Hain Roop Sab Ye Dikhaati Hein Rotiyaan
Roti Ka Ab Azal Se Hamaara To He Khameer
Rookhi Bhi Roti Haq Mein Hamaare He Shahd O Sheer
Ya Patli Howe Moti Khameeri Ho Ya Fateer
Gehoon Ki Jawar Baajre Ki Jesi Ho Nazeer
Hum Ko Sab Tarah Ki Khush Aati Hein Rotiyaan