Roshni Mujh Chand Ko Suraj Se Hi Milti Rahi
Aur Wo Nazmo Mein Apni Mujhko Chand Kehta Raha
Hum Saharon Ke Safar Mein Nikle The Aur Doob Gaye,
Wo Akela Tha Safar Mein Aur Wo Behta Raha
Hum Khuda Ke Dar Pe Pahunch Kar Baichain The,
Aur Wo Insaan Ke Ghar Mein Chain Se Rehta Raha
Dil Nikaal Ke Rakh Diya Usne Chand Panno Pe,
Lekin Ye Zamaana Usse Shayar Hi Kehta Raha
Muththi Bhar Zakhm Liye Hum Zamaane Ko Dikhate Rahe,
Wo Chup Raha Jo Dard Ko Har Nazm Mein Sehta Raha