Roo-B-Roo Dar, Chaley Jaaney Key Ba’ad Aayougey?
Koun Kahtaa Hai, Ki, Ab Umra Bhar Sataaougey?
Naazneenoun Ki Adaaoun Kaa Kyaa Bayaan Karoon:
Har Lamheyn ‘Nain’ Tokatey Hain, Ki, ‘Kab Jaaougey’?
Khud Bulaayaa Thaa, Kayee Baar Bheyj Kar Qaasid:
Dar Pai Haazir Hun: Kyaa Patah, Ki, Kab Bulaaougey?
Maantaa Huun, Ki, Khataa Mujhsey Ho Gayee Hogee!
Dour-E-Ulfat Hai: Kab Talak Wahi Duhraaougey?
Saath Taahashra Raheygaa, Yeh Zarooree To Nahin!
Kab Talak Saath Ho, Yeh Bhi Nahin Bataaougey?
Ruk Bhi Jaayegaa Agar Chaand, To, Kitney Lamahey?
Magrabee Jaw Mein Kahaan Par Patah Lagaaougey?
Tamaam Dar Khuley Hain Dil Key, Na Jaaney Kab Sey:
Khadey Rahogey Door, Yaa Qadam Badhhaaougey?
Abra Ney Aa, Chhupaa Liyaa Hai Chaand Seeney Mein:
Rukey Rahogey, Ki, Baahoun Mein Aa Samaaougey?
Sadaayen Laakh Zeyhan Mein Panaah Leyteen Hain?
Gazal Hai Muntazir ‘Abd’ Kee: Kab Sunaaougey?

By Abd Bundeli (Ram Prakash Garg)