Rishta Shabdon Ka Sargam Se Bhi Hota Hai
Rishta Zakhmon Ka Marham Se Bhi Hota Hai
Magar Ye Kaisa Risha Hai Tere Mere Bich
Jo Na Gata Hai Na Khamosh Hota Hai
Jo Na Hara Hai Na Zard Hota Hai

Rishta Toh Dil Ka Dhadkan Se Bhi Hota Hai
Rishta Toh Kudrat Ka Mausam Se Bhi Hota
Hai
Magar Ye Kaisa Risha Hai Tere Mere Bich
Jo Na Dhadkata Hai Na Bedil Hota Hai
Jo Na Badlta Hai Na Bojhal Hota Hai
Rishta Baadal Ka Barsaato Se Bhi Hota Hai
Rishta Toh Dariya Ka Kinaaro Se Bhi Hota Hai
Magar Ye Kaisa Risha Hai Tere Mere Bich
Jo Na Barsata Hai Na Surkh Hota Hai
Jo Na Thaherta Hai Na Madmast Hota Hai
Rishta Toh Rangon Ka Aankhon Se Bhi Hota Hai
Rishta Toh Parindon Ka Hawaons Se Bhi Hota Hai
Magar Ye Kaisa Risha Hai Tere Mere Bich
Jo Na Dikhta Hai Na Ozhal Hota Hai
Jo Na Qaid Karta Hai Na Azaad Hota Hai
Rishta Apno Ka Parayon Se Bhi Hota Hai
Rishta Toh Khuda Ka Bandon Se Bhi Hota Hai
Magar Ye Kaisa Risha Hai Tere Mere Bich
Jo Na Apna Hai Na Paraya Hota Hai
Jo Na Ibaadat Hai Na Inayaat Hota Hai