Reyt Ki Tarah Hath Se Nikalti Chale Gaye
Zindagi Har Lamha Badalti Chalee Gaye.
Aziz The Mujhe Apne Ausool Lekin Na Jane Kyun,
Naye Daurr Ke Dhanche Mein Yeh Dhalti Chalee Gaye.
Dikha Ke Para-E-Dil-O-Zkhm-E-Jigar Rokna Chaha,
Woh Mano Dafn Kar Mujhe Fatiha Padhti Chalee Gaye.
Sihaasat Mein Kahan Ki Dosti Aur Kya Wafadari,
Hasb-E-Mamool Woh Apni Aag Ugalti Chalee Gaye.
(Hasb-E-Mamool = With Regularity/ As Per Schedule.)
Sehar Hone Pe Bhi Chirag Woh Bhujne Nahi Deta,
Idhar Mein, Udhar Woh Shamma Bhi Jalti Cahlee Gaye.
Na Waj’a-E-Kalaam Thi Na Koi Raafta Phir Bhi,
Dil-E-Nadaan Mein Kya Kya Ummidein Palti Chalee Gaye.
(Waj’a-E-Kalaam=reason To Talk, Raafta = Relation)
Talib Hue Naseeb Tujhe Sang Sar-E-Bazaar,
Woh Janib-E-Saba Aayee Aur, Tehalti Chalee Gaye.