Reh Reh Ke Kuchh Arse Se Yeh Khayal Aaya Hai,
Ab Aah Meri Be Payaan Muhabbat Ka Zawal Aaya Hai
Mujhe Kaatib-E-Taqdir Se Koi Shakwa Nahin Lekin,
Mere Kis Jurm Ki Padaash Mein Aakhir, Yeh Wabaal Aaya Hai?
Mera Jurm Meri Chahat Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Jada-E-Ishq Rah-E-Maqtal Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Ulfat Ke Taqazon Ki Koi Ta’beer Nahin Mumkin,
Yeh Ek Sa’i-E-Musalsal Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Mera Maazi Mere Andar Hi Chhupa Rehne Do,
Ke Jo Behke Hue Jazbon Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Mere Maazi Mein Kabhi Chahat Ki Baharein Bhi Thin Lekin,
Ab Ek Ujde Hue Bustan Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Baaghi Hun Tere Aalam Ka Mein Do Tok Kahunga,
Yeh Ek Talsam-E-Khushkun Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Aankhen Meri Namnaak Nahin, Par Rooh Ki Basti,
To Ashkon Ke Talaatum Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Ujda Bhi Hun Kuchh Aisa Ke Ab Zeest Ka Masraf,
Teri Hasrat Bhari Yaadon Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Tujhe Satwat Ki Havas, Par Mere Vairan Jahaan Mein,
Le De Ke Aqeedat Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Mere Ishq Ki Nigaahon Mein To ‘Taaj’ Ki Shawkat,
Sarwat Ki Numaaish Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
(Taj = Taj Mahal, Jo Bazahir Ishq-O-Wafa Ke Jazbat Ka Paikar Sahi, Magar Saath Hi Showkat-E-Sarmaya Ka Ek Zinda Mazhar Bhi Hai!!)
Mein Ne Socha Bhi Na Tha Ke Teri Ismat Ka Iwaz,
Khanakte Hue Chand Sikkon Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Teri Yaadon Se Saja Tha Jis Dil Ka Nasheman,
Ab Mere Shawq Ke Marqad Ke Siva Kuchh Bhi Nahin Hai,
Reh Reh Ke Kuchh Arse Se Yeh Khayal Aaya Hai,
Ab Aah! Meri Be Payaan Muhabbat Ka Zawal Aaya Hai,
Mujhe Kaatib-E-Taqdir Se Koi Shakwa Nahin Lekin,
Mere Iflaas Ki Padaash Mein “Muztar” Yeh Wabaal Aaya Hai