Registaan Me Basa Hua Insaan
Kar Gaya Dil Ko Bhi Registaan
Khojta Hai Aapano Ko Kaha Kaha
Jaha Kho Gaya Dilo Se Hi Insaan
Chamakti Daulat Ne Kiya Andha
Andha Hua Khud Ke Man Ka Jahan
Itane Jyada Range Iss Range Me
Bhul Gaye Khud Ki Bhi Pahchan
Mat Bhulo Lakxmi Chanchala Hai,
Na Kabhi Rahte Halat Bhi Ek Saman
Kaha Pahuche, Sab Risto Ko Bhule,
Dolat Se Khoj Ne Chale Uchi Saan
Khokale Hai Yah Maan Samman,
Agar Bach Na Paya Aapna Emaan
Yah Sukh Hai Kuch Pal Ka, Naam Ka,
Agar Na Rakh Sake Insaniyat Ka Gyan