Raushni Se Rishta Na Jod Paa Rahe Hai
Taareekiyon Me Gham Ki Hi Ghirte Ja Rahe Hai
Karke Supurd-E-Aatish Ye Mera Aashiyan
Dekho To Wo Baarish Ka Lutf Utha Rahe Hai
Kaali Ghata Na Ab Tak Aayee Hai Isliye
Hum Aansuon Se Aag Dil Ki Bujha Rahe Hai
Khoon-E-Jigar Ko Bhi Wo Paani Samajh Rahe Hai
Paani Ki Tarah Aansuon Ko Hum Baha Rahe Hai
Kal Tak O Mere Naam Ka Dum Bhara Karte The
Ghairon Ki Wo Aaj Lo Qasmen Kha Rahe Hai
Sunate Haal-E-Dil Hum Hota Jo Koi Apna
Ki Dekho Kis Tarah Hum Sataye Ja Rahe Hai
Jinke Har-Ek Raaz Ka Kal Tak Tha Raazdaar
Zara-Zara Si Baat Wo Mujhse Chhupa Rahe Hai
Sachmuch Hi Jo Rahe The Har Lamha Mere Saath
Khwaabon Me Aane Se Bhi Katra Rahe Hai
Idhar Bujhake Meri Ye Shama-E-Zindagi
Ghairon Ke Chiraagh-E-Dil Jalaaye Ja Rahe Hai
Karen Kyun Gila-Shikwa Auron Se Ab Shikayat
Galti To Apni Hi Thi, Sila Bhi Pa Rahe Hai
Kisi Pe Kya Hai Beeti Unko Hai Kya Khabar
Apne Hi Jahan Me Wo Bas Doobe Ja Rahe Hai
Koi Unhe Bataye Baaqi Hai Saans Ab Tak
Marne Pe Agar Mere Wo Jashn Mana Rahe Hai
Kal Tak Na The Jo Qaabil Unki Dosti Ke
Mehboob Wahi Unke Aaj Hue Ja Rahe Hai
Bataye The Tareeqe Ladne Ke Dushmano Se
Tarkeeben Wahi Hum Par Wo Aazma Rahe Hai
Mai Dard Sahte-Sahte Bedam Saa Ho Gaya Hun
Bedardi Se Wo Ab Bhi Sitam Dha Rahe Hai
Ye Sochke Aur Bhi Hota Hai Dil Ko Ranj
Baawafa Hum The Wafa Aur Paa Rahe Hai
Mera Ye Qissa-E-Gham Ab Na Koi Chhede
Ghamgeen Saari Yaaden Dafnaa Ke Aa Rahe Hai
Ye Dard Sahne Ki To Aadat-Si Ho Gayi Hai
Tabhi To Ishq Karne Lo Phir Se Ja Rahe Hai
Na Khayen Phir Se Dhokha Khaya Jo Humne Pehle
Har Qadam Ye Sochke Hi Hum Utha Rahe Hai
Kabhi To Koi Sachcha Milega Ae Chaman
Ik Aas Ke Sahare Hi Jiye Ja Rahe Hai