Rasta Nahi Manzil Nahi Magar Hum Chalte To Hai,
Dharnak Nahi Sansain Nahi Magar Hum Jeete To Hai
Tu Nahi Teri Chhahat Nahi Magar Dil Dharkte To Hai,
Aansu Nahi Shikva Nahi Magar Dard Sehakte To Hai
Chaand Nahi Taaray Nai Magar Chiraag Jalte To Hai,
Phul Nahi Khushbu Nahi Magar Ehsaas Mehakte To Hai
Saaj Nahi Awaaz Nahi Magar Hoont Larzte To Hai,
Shaam Nahi Jaam Nahi Magar Qadam Behakte To Hai
Deewarain Nahi Chhat Nahi Magar Log Rehte To Hai,
Kafan Nahi Dafan Nahi Magar Armaa Sulagte To Hai
Sagar Nahi Dariaa Nahi Magar Ashak Behte To Hai,
Bahar Nahi Khizaan Nahi Magar Mausam Badalte To Hai
Tera Kucha Nahi Dar Nahi Magar Sar Jhukte To Hai,
Saudagar Nahi Bazaar Nahi Magar Ehsaas Bikte To Hai
Aankhain Nahi Neendain Nahi Magar Khaab Aatae To Hai,
‘Veer’ Kalam Nahi Kagaz Nahi Magar Hum Likhte To Hai