Ranj Bharun Apne Andar Ya Muhabbat Ke Paikar,
Taaron Mein Dhhoondhun Usko Ya Pathal Ke Andar,
Jis Aurh Woh Chala Tha Maarg Wohi Hai Mera Ab,
Kaisa Prem Ka Durgam Jagat Hai Ya Agni Ka Samundar.
Chalta Raha Phir Bhi Aandhiyon Se Li Takkar,
Sailaab Har Taraf Tha Tat Aaya Nahin Nazar,
Khojlun Usse Jeevan Ka Yehi Lakshya Hai,
Yeh Azam Tha Pakka Ab Kitna Bhi Ho Vyath Uss Daggar,
Milegi Manzil Kaise Yeh Mere Prayatna Pe Nirbhar,
Saahas Hai Aur Josh Bhi Mere Iss Jism Ke Bhitar,
Koi Na Rok Payega Ab Mujhe Faisla Hai Yeh Atal,
Paa Kar Hi Lunga Dam Usse Nahin Mot Ka Bhi Ab Darr.