Rang -E- Hina Hathon Mein Der Tak Nahi Rehta
Manzer Koi Haseen Der Tak Nahi Rehta.
Tasleem Ker Tabdeeliyan -E- Waqt Ko Aiy Dil
Mausam Ho Ya Mizaaz Eksa Nahi Rehta .
Ye Chand Dinon Ki Baat Hai Ye Chandni Nahi
Dilkash Koi Nazara Humeha Nahi Rehta .
Khud Bhi Khaoge Jab Fareb To Ye Janoge
Kyun Duniya Pe Aadmi Ko Bharosha Nahi Rehta.
Bula Late Hain Jo Karke Bahana Manzilon Ka
Unka Rahon Mein Koi Naksh-E-Paan Nahi Rehta.
Chhor Jate Hain Phir Us Mod Per Laker Sangdil
Jahan Marne Ke Siwa Koi Rasta Nahi Rehta.
Wo Jalte Hain To Jalte Hain Jo Sholon Ki Tarah
Wo Bujhte Hain To Aise Ke Dhuan Tak Nahi Rehta.
Baher Gayi Aabaj Ger Gareeb Khane Se
To Der Tak Muflish Ka Aashiyaan Nahi Rehta.