Raaz Jab Se Zindgi Ka Ka Mujhpe Khulta Jaaye Hai
Ruuh Dhulti Jaaye Hai Mera Jism Dhulta Jaaye Hai
Dekhti Hai Jab Mujhe Dhokhe Se Aankhen Yaar Ki
Mere Dil Me Ishq Ka Ik Phool Khilta Jaaye Hai
Zindgi Me Usko Paana Khwaab Jaisa Lagta Hai
Phir Bhi Uski Aarzoo Se Chain Milta Jaaye Hai
Hai Bewafaai Chaand Ki Ya Dil-Lagi Hai Raat Se
Kya Jaaniye Kiske Liye Suraj Youn Jalta Jaaye Hai
Sochne Baitha Thaa Usko Raat Ke Pehle Pahar
Neend Aankhon Me Nahi Or Din Nikalta Jaaye Hai
Hai Wohi Andaaz-E-Dhoka Shahar Me Her Shaks Ka
Jaise Ke Ek He Aadmi Chehra Badalta Jaaye Hain
Wo Chodh Kar Ruswa Hume Jis Mod Per Gum Ho Gaya
Hum Waheen Per Hain Khade Or Waqt Chalta Jaaye Hai
Ho Raha Hai Gum Andhero Me Mera Her Ik Khyaal
Ummeed Ka Suraj Mere Seene Me Dhalta Jaaye Hai
Kisi Bhool Se Jo Gir Gaya Wo Raaste Ka Phool Houn
Jo Bhi Guzre Hai Karan Mujhko Masalta Jaaye Hai