Raaton Mein Mulakat Hone Lagi,
Adhoori Baatein Poori Hone Lagi,
Maafi Maangi Haazaro Martaba,
Magar Ilteja Khokli Hone Lagi
Maayusi Si Cha Gayi Ab Zindagi Pe,
Koi Khushi Na Gawara Hone Lagi,
Galti Ki Thi Kuch Waqt Pehle Maine,
Aaj Saza Mehsoos Hone Lagi
Aansuon Ne Badli Kahani Ab To,
Aate The Tanha Paakar Hume,
Ab Aate Hai To Manzar Kuch Aur,
Kahani Kuch Aur Nazar Aane Lagi
Ab Aansu Hume Tanha
Nahi Badnaseeb Paate Hai,
“Nahi Rehna Uske Saath
Jise Dilbar Chhod Jaate Hai,
Tanha To Tu Hai Hi
Ab Khokla Bhi Ho Jayega”,
Kehte Hue In Lafzo Ko Aansu Ki
Aakhri Boond Nikalne Lagi
Saza Ka To Is Kadar
Asar Hua Is Dil Par,
Na Raha Kuch
Haasil-E-Aitbaar Siwaye Dilbar,
Main Khush Tha Saath Jitna
Na Reh Paunga Kabhi,
Aur Use Shayad Meri
Khushi Beimaani Lagne Lagi
Khud Hi Karne Lage Wo,
Faisle Zindagi Ke Apne,
Poocha Bhi Nahi Humse Aur,
Raaste Badal Ne Lagi…
Agar Padhe Ise Kabhi
Mehboob Mera To Bata Dena,
Ke Is Pagal Se
Apni Mohabbat Khone Lagi,
Galtiyan To Ki Thi
Maine Pehle Bhi Par,
Na Jane Kyun Yeh
Jaan Meri Lene Lagi
Chah Nahi Ab Paane Ki Zindagi Ko,
Ae Dosto Naaraz Na Hona Par,
Kalam Mein Shahi Khatm Hone Lagi,
Shayad Nahi Aur Kuch Kehna Mujhe,
Jo Kuch Bhi Tha Yeh Nazm Keh Chuki,
Dua Chahiye Ke Apna Le Mujhe Wo Firse,
Bhool Jaye Meri Us Bhool Ko,
Kyun Ke Ab Zindagi Saza Lagne Lagi