Raat Phir Khawaab Mein Aa Kar Mujhse
Meri Maa Ne Kuchh Sawaal Kiye
Usse Pehle Mujhe Dua Ye Di
Khuda Kare Ki Tu So Saal Jiye
Unki Aankhon Mein Mahobbat Bhi Thhi
Afsos Bhi Thha
Ek Aansu Bhi Thha Un Aankhon Mein
Jo Chillata Bhi Thha, Khamosh Bhi Thha
Mujhse Poochha Ki Bete Kaise Ho
Koi Diqqat To Nahin Hai Tumko
Phir Kaha Tumko Maloom Hai Kya
Main Badi Takleef Mein Hoon
Jabse Leti Hoon So Nahin Payi
Tumhari Wajah Se Main Khul Ke Ro Nahin Payi
Tere Gunaah Mujhko Saanp Banke Daste Hain
Farishte Aake Har Roz Fiqre Kaste Hain
Tumhi Bataao Beta Maine Kya Kami Ki Thhi
Mere Samjhane Mein Kami Thhi Kya
Ya Meri Tarbiyat Adhoori Thhi
Kyon Bure Kaam Roz Karte Ho
Kyon Nahin Us Khuda Se Darte Ho
Jisne Tumko Ye Jaan Bakshi Hai
Jisne Tumko Amaan Bakshi Hai
Laut Kar Jiske Paas Jaana Hai
Kya Use Munh Nahin Dikhana Hai
Kya Tumhein Is Liye Padaya Thha
Kya Tumhein Yehi Sab Sikhaya Thha
Ki Apne Ilm Par Guroor Karo
Apne Nafs Ko Masroor Karo
Jab Bhi Bolo To Bas Galat Bolo
Zulm Dekho To Lab Nahi Kholo
Chhodkar Deen Bhool Kar Mazhab
Apni Auqaat Noton Mein Tolo
Sach Batao Ki Kya Ye Qissa Hai
Kya Ye Andaaz Meri Tarbiyat Ka Hissa Hai
Mujhko Afsos Nahin Ki Tu Mujhe Bhool Gaya
Ranj Ye Hai Ki Mera Jeena Hi Fizool Gaya
Main To Marke Bhi Roz Marti Hoon
Main Tujhe Roz Yaad Karti Hoon
Jis Tarah Jeene Ka Agaaz Kiya Hai Tune
Uske Anjaam Se Main Darti Hoon
Khuda Kare Ki Tujhe Ab Bhi Samajh Aa Jaye
Koi To Aake Tujhe Seedhee Raah Dikhlaye
Ki Ikhtitaam Ho Teri Gunah Ki Shaamon Ka
Mujhe Bhi Ajr Mile Tere Nek Kaamon Ka
By Abdul Wasey