Raat Ki Aaghosh Mein Andhero Ke Saath Main Behosh Ho Raha Tha
Maut Ko Zinda Rakhne Ki Koshish Mein Tha Mujhe Samjhane Na Aaya Koi
Raat Ka Sannata Ajeeb Sa Sukoon Lata Hai Dil Mein Aur Tanhaai Bhi
Aaj Kyu Na Jaane Roshni Ke Liye Mere Dil Ko Roz Ki Tarah Jalane Na Aaya Koi
Raat Ka Intezaar Isiliye Karte Hai Ki Kab Neend Aaye Aur Unke Khwaab Bhi
Neend Hi Na Aayi Magar Hame Us Qayamat Ki Yaad Bhi Dilane Na Aaya Koi
Raat Mein Aasmaan Ki Barahnagi Roshni Ki Be-Kasi Aur Sanam Ki Bewafaai
Sab Kuchh Saaf Nazar Aa Raha Tha Hame Kyu Is Bebas Raat Ko Churane Na Aaya Koi
Raat Mein Andhkaar Ke Saath Mera Dard Bhi Badh Raha Tha Mere Liye Baadal Bhi Ro Raha Tha
Aansuo Ko Rokne Na Sahi Lekin Un‚  Aansuo Mein Mere Sang Beh Jaane Na Aaya Koi
Raat Aate Hi Dard Unka Bhi Badh Jaata Tha Jo The Quboor Mein To Phir Hamara Kya Hai
Mahfoom Aaj Ka Unka Kal Se Tha Shayad Kyunki Hum Aaj Jab Soye Ti Uthaane Na Aaya Koi