Raat Ke Khwaab Sunayein Kis Ko Raat Ke Khwaab Suhaane Thay
Dhundle Dhundle Chehray Thay Par Sab Jaane Pehchaane Thay
Ziddii Vehshii Alhad Chanchal Meethay Log Raseelay Log
Honth Un Ke Ghazalon Ke Misare Aankhon Mein Afsaane Thay

Ye Lerki To In Galiyon Mein Roz Hi Ghuma Kerti Thee
Is Se Un Ko Milana Tha To Is Ke Laakh Bahaane Thay
Ham Ko Saari Raat Jagaya Jalte Bujhte Taaron Ne
Ham Kyun Un Ke Dar Pe Utre Kitne Aur Thikaane Thay
Vehshat Ki Unvaan Hamaari In Mein Se Jo Naar Bani
Dekheinge To Log Kaheinge ‘Insha’ Ji Deewane Thay