Raat Kay Andhray Main Sakoon Ki Talash Main,
Chala Ja Raha Thaa Main Barbass Thakay Qadmon Say,
Bandha Hua Thaa Main Kisi Ajeeb Say Mohpash Main,
Na Apni Khabar Thee Na Rah Pay Nazar Thee,
Aksmaat Hee Main Kisi Say Takra Gaya,
Kisi Ka Dard Aah Bankay Mere Kano Tak Aa Gaya,
Maine Jhuk Kar Dekha Ek Pathar Tarap Raha Thaa,
Meri Thokar Say Uska Koi Armaan Sehak Raha Thaa,
Maine Poocha Tum Rah Main Kiyon Ho Paray,
To Usnay Kush Yu Apna Dard Kaih Sunaia,
Main Bhee Kabhi Zeenat Thaa Kisi Kay Dil Ki,
Logo Ko Batata Thaa Doori Unki Manzil Ki,
Zamanay Walay Mujhay Sang-E-Meel Kehtay Thay,
Mere Seenay Pay Likhay Haraf Unko Hamesha Yaad Rehtay Thay,
Mere Bhee Dil Main Kabhi Letay Thay Armaan Karwatay,
Tu Mat Darna Dekhkay Mere Chhehray Ki Silwatay,
Mere Khabon Main Bhee Thaa Kabhi Kisi Ka Basera,
Mera Sahara Lekar Char Rahi Thee Ek Lata Phoolon Ki,
Har Dam Rehti Thee Wo Lipat Kar Mujhsay,
Wo Mere Liye Main Uskay Liye Thaa Jee Raha,
Ek Din Achanak Hamaray Beech Ek Pear Ugg Aiya,
Waqt Kay Saath Wo Phoola Fala Or Bara Hua,
Mujhay Apnay Wajood Pay Bhut Gussa Aiya,
Maine Khuda Say Pocha Tunay Mujhay Aisa Kiyon Nahi Banaia ,
Kaash Main Bhee Pair Ki Tarha Falta Fulta
Uss Lata Ko Jana Thaa Shayad Bhut Upper,
Usnay Mera Sahara Chhor Thaam Liya Pair Ka Daman,
Uski Bevfai Say Bhuj Gaya Mera Pyar Bhara Man,
Aaj Main Ban Gaya Hoon Rastay Ka Pathar,
Har Koi Aatay Jatay Marta Hai Mujhay Thokar,
Sunkay Uski Daastan Meri Aankh Bhar Aiyee,
Uski Halat Maine Apni Halat Say Milti Paiyee,
Maine Usko Uttha Kar Apnay Seenay Say Laga Liya,
Uskay Aansuon Say Mera Giraybaan Geela Ho Gaya,
Mera Surakh Badan Ek Dam Say Neela Ho Gaya,
Maine Soacha Ki Mujhsay Acha To Yeh Pathar Hai,
Iss Par Kisi Ko Taras To Aa Gaya,
Mujh Par Kisi Ko Taras Kiyon Nahi Aata,
Kiyon Koi Mujhay Seenay Say Nahi Lagata,
Kaash Koi Mujhay Bhee Seenay Say Lagata,
Aankhon Main Jama Ashko Ka Samander To Pighal Jata,
Kaash Koi Mujhay Bhee Thokar Lagata,
Mere Dard Ko Mehsoos Karta Mujhay Seenay Say Lagata.
Mujhay Seenay Say Lagata….Mujhay Seenay Say Lagata.