Raat Ddhalte Hi Bharak Udhate Hai, Khwaboan Ke Badan
Din Nikalte Hi Pighal Jaate Hai Tasweer Ka Rang
Hai Wahi Sharer Wahi Daure Zarrahat Jisme
Log Phirte Hai Bhatakti Hui Ruhoon Ki Tarah
Gard Afkaar Ke Sheeshoan Pe Zami Rahti Hai
Dil Ki Raah Se Gujarte Hai Phakat Sannaate
Kaun Apna Hai Yehan Kaun Paraya Hai Yehan
Sabke Cheharoan Par Likhi Ek Si Tahreerain Hai
Apni Meeraas Mein Sadiyon Ka Yahi Dard To Hai
Aao Apas Mein Isi Dard Ko Takseer Kare
Zindigi Laayake Tazeem Hai, Tazeem Kare