Raat Bhar Udhaas Yadein Karwate Badalti Rahi
Mausam Ke Saath Jaise Un Ki Mohabaat Badalti Rahi
Aankhoan Ki Kashti Mein Ansoo Ki Nadiya Behti Rahi
Un Ke Har Sitam Ko Mein Muskura Ker Sehti Rahi
Dil Ke Chilman Mein Ek Aag Si Jalti Rahi
Bechen Dhadkan Bhi Khamoshi Se Chalti Rahi
Bahaar Ke Mausam Mein Bhi Phathjad Ke Phool Chunti Rahi
Bewafa Zindagi Mein Tere Sapne Kyon Har Pal Bunti Rahi