Raat Bhar Mithhi Nind So Kar
Jab, Halke Se Jaise Koi Kali Apni Pankhudi Kholti Hain
Waise Tumhari Aankhaein Khulti Hogi.
Thhik Usi Waqt Yaha
Saraa Aashmaan Muskurata Hain
Iss Manzar Ko Maie Mahesoos Karti Hu
Kya, Tumhe Bhii Kabhii Meri Yaad Aati Hogi?
Jaagte Hi Tum Pookarti Hogi -Ë—mom-‘
Aur Woh, Aa Kar Tumhe Galae Lagati Hogii
Uske Galae Lagte Hii Kabhi, Chhaya !
Iss Maa Ko Yaad Kar Ke Tum Bhii
Oos Mom Se Jor Se Lipat Ti Hogi?
Dheerae Dheerae Tum Kali Se Phool Banti Jaaogi
Har Roj Subah Oothhte Hii
Jaise Hii Tum Khidkiyaa Se Parde Hataaogi
Roshni Tumhari Hasi Ko Chhum Legi
Tumhaare Ghunghraale Baalo Mai
Hathh Fer Kar Hawa Mere Paas Lautt Aayegi
Woh Roshni, Woh Hawa
Meri Subah Ko Meri Zindgi Ko
Roshani Aur Khushbu Se Bhar Degi.
Haan, Chhaya! Mere Mushkuraane Mai Tumhari Bhi Hasi
Barabar Shaamil Rahegi.
Aaj Is Maa Ka Dil Tumhe Duwaa Karta Hai
Tum Bhii Sada Muskurati Raho
Aur Tumhari Roshni Mai
Aur Bhi -Ë—chhaya-‘ Muskuraaye.