Raahi Hain Or Safar Nahi Jaante
Karan Apni Khabar Nahi Jaante
Hum Apne Ghar Mein Itne Tanha Hain
Humko Divaar-O-Dar Nahi Jaante
Apne Kuche Ko Bhul Baithe Hain
Log Jo Tera Ghar Nahi Jaante
Be-Hudd Pyaar Kerne Waale Hume.N
Jaante Hain Magar Nahi Jaante
Jo Jee Mein Aata Hai Likh Dete Hain
Hum Koi Bhi Hunar Nahi Jaante
Main Darindo Mein Ek Insaa.N Hun
Log Meri Kadar Nahi Jaante
Zuth Ka Zahar Roz Peete Hain
Or Kya Hai Zahar Nahi Jaante
Wo Mere Humsafar Banenge Kabhi
Jo Meri Rehguzar Nahi Jaante
Kat Gaye Kin Khudgarzon Ke Liye
Ye Shaheedon Ke Sir Nahi Jaante
Maut Ko Daavat Roz Dete Ho -Ë—Karan-‘
Shayad Marrne Ka Darr Nahi Jaante