Raah Ke Patharon Se Manzil Ka Pata Puchte Hai
Gardish Se Ham Muqaddar Ka Likha Puchte Hai
Wo Nahin Jante Abhi Andheron Ki Wehshatein
Parwanon Se Jo Jalne Ka Maza Puchte Hai
Tabiyat Payi Hai Hamne Bhi Masoom Bachon Si
Saza Pa Kar Apni Khata Puchte Hai
Kaise Samjhaun Unhe Hosh Ki Dushwariyan
Nino Se Jo Marne Ki Wajeh Puchte Hai