Raah Chalte Humhe Bhi Ek Aisa Insaan Mila
Dekha Uski Aankhon Humko Ek Farmaan Mila
Pucha Humne Bhai Kyon Rote Ho?
Aankhon Ko Kyon Is Kadar Bhigote Ho?
Suuraakh Se Uske Aawaaz Na Aayi
Kaefiyat Par Jaise Thi Suni Sunaai
Haathon Mein Chand Kagaz Ke Tukre
Siyaahi Mein Behte Muraado Ke Putle
Nam Haathon Se Woh Khat Tha Uthaaya
Taajjub Bhi Aur Poshiidah Bhi Paaya
Bahut Himmat Se Phir Humne Basar Utaayi
Jaane Kaha Hua Maduum Nazar Usko Dhund Na Paayi
Aankh Khuli To Dekha Yaha Koi Nahin Tha
Khwaab Gar Tha To Khwaab Aabhi Tak Gaaya Nahin Tha
Aur Aankhon Se Ranj-O-Gham Ka Aab Ab Tak Chalak Raha Tha
Raah Chalte Humhe Bhi Ek Aisa Insaan Mila
Aajnabi Ke Khat Mein Aapni Ruuh Ka Paigaam Mila