Qurbat To Bari Cheez Hai Aye Jaan-E-Tamanna
Iss Dil Ki Tassali Ko Tera Naam Buhat Hai
Kabhi Sooraj Ki Tamanna Nahi Baaqi
Roshni Chor Gaye Dil Mein Andhera Aisa
Lo Bujh Gaya Kisi Ki Tamanna Liye Hoye
Woh Dil Ke Jis Pe Koun-O-Makan Ko Guroor Tha
Khilta Tha Kabhi Jis Mein Tamanna Ka Shagofa
Khirki Woh Bari Dair Se Weeran Pari Hai
Kis Dil Mein Bo Rahe Ho Tamanna Ke Bij-O-Kham
Yeh Dukh Ki Sar-Zamin To Kale Kale Gulaab De
Tujhe Ko Chuu Loon Tu Aae Jaan Tamanna Mujhe Ko
Dair Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye
Woh To Kuch Tum Se Mohabbat Si Ho Gaye Warna
Hum Woh Khud Hain Ke Apni Bhi Tamanna Na Karen
Tu Usse Apni Tamannaon Ka Markaz Na Bana
Chand Harjaaye Hai Har Gher Mein Utar Jata Hai