Qayamat Se Hamne Kahaa Tum Aao To Unkaa Bhi Deedar Ho Jaye
Ispe Wo Boli Gar Wo Aayein To Hamari Kya Zaroorat Reh Jaye
Shikayat Hai Unhe Humse K Pasand Nai Hai Ye Sab Mujhko Ab
Gar Chhod De Hum Ye Sab To Unki Bhi Kya Shohrat Reh Jaye
Aashiana Dhoondte Hain Ehsaas Zamaane Ki Hi Nazron Se
Kahin Pe Nafrat Reh Jaye Aur Kahin Mohabbat Reh Jaye
Hum Khuda Ko Manenge Par Ek Ye Shart Bhi Rakhte Hain
Is Buton Ke Samaaj Mein Gar Thodi Ibaadat Reh Jaye
Khwabon Se Koi Shikayat Nai Bas Ek Tamanna Baaki Hai
Khwabon Mein Kuch Reh Jaye To Bas Thodi Hakeekat Reh Jaye
Sarhad-E-Zamin To Laangh Bhi Len Par Dilon Ki Sarhad Kaun Laanghe
Jahan Har Dard Apna Sa Ho Beasar Har Marhum Reh Jaye