Pyas Zalim Ki Bujhati Rahi Dehshatgardi
Khoon Ke Jam Pilati Rahi Dehshatgardi
Tarz Nafrat Ki Sunati Rahi Dehshatgardi
Maut Ka Saaz Bajati Rahi Dehshatgardi
Sharpasando.N Ko Hansati Rahi Dehshatgardi
Amn Walo.N Ko Rulati Rahi Dehshatgardi
Qatl Karti Rahi Har Daur Mei.N Mazloomo.N Ko
Zulm Ka Sath Nibhati Rahi Dehshatgardi
Begunaho.N Ko Satana Kisi Mazhab Mei.N Nahi.N
Begunaho.N Ko Satati Rahi Dehshatgardi
Raas Aya Na Kabhi Daur-E-Bahara.N Isko
Har Gulistan Jalati Rahi Dehshatgardi
Ho Gaya Deen Ke Daman Ko Bachana Mushkil
Khoon Ke Chhe.Ntey Udati Rahi Dehshatgardi
Naach Hota Raha Haiwaniyato.N Ka Uspar
Farsh Lasho.N Ka Bichhati Rahi Dehshatgardi
Usko Lafzo.N Mei.N Baya.N Kaise Karu.N Mai.N Fezan
Kis Tarah Dil Ko Dukhati Rahi Dehshatgardi