Pyar Mein Koi Chinwaya Gaya
Kissi Ko Zinda Zamane Ne Jalaya Hoga
Koi Dooba Hoga Chenab Mein,
To Kissi Ne Patthar Bhi Khaya Hoga
Kissi Aashiq Ne Li Hogi Dushmani Jahan Se
To Kissi Ne Tajmahal Bhi Banwaya Hoga
Kuch Ne Chod Diya Takhtotaaj To
Kuch Ne Apni Khushiyon Ko Bhi Thukraya Hoga
Kuch Ko Diya Hoga Laalach Bhi Zamane Ne
Kuch Ko Zor Paise Ka Bhi Dikhaya Hoga
Yeh Aashiq Nahi Darte Marne Se
Phir Bhi Duniya Ne Unhe Darr Maut Ka Dikhaya Hoga
Sahe Hain Dukh Yahan Aashiqon Ne Bahut
Per Yakeen Hai Mujhe Ki Koi Na Pachtaya Hoga
Pyar Karne Waale Zinda Rehte Hain Ik Dooje Ke Saath
Aayi Jo Maut To Usko Bhi Has Ke Gale Lagaya Hoga
Ho Jaata Jas Bhi Fanah Ab Tak
Shayad Tere Liye Kudrat Ne Mujhe Bachaya Hoga
Ishq Karna Doston Aasaan Nahi
Iske Liye Kitne Parwaano Ne Khud Ko Jalaya Hoga
Yeh Aashiq Hain Duniya Se Alag
Ik Alag Sa Sansaar Unhone Is Jahan Se Door Basaya Hoga
Kehte Hain Nahi Milta Mukammal Jahan Kissi Ko
Is Jahan Mein Nahi To Us Jahan Mein Kudrat Ne Unhe Milaya Hoga
Aaye Honge Kitne Majnu Or Ranjhe Yahan
Har Kissi Ne Apne Tarike Se Pyar Bhi Jataya Hoga
Karta Hoon Ishq Mein Bhi Tujhse Eh Jaan Meri
Karta Hoon Daawa Ki Jas Sa Aashiq Na Aajtak Aaya Hoga