Pyar Kaha Kisi Ka Poora Hota Hai
Wo To Khud Pehle Se Hi Adhoora Hota Hai
Ab Phool Ko Hi Dekho Jab Tak Use Koi Tod Nahi Deta
Tab Tak Khilkar Humesha Khusbu Deta Rehta Hai
Jab Hath Lagaya Us Phool Ko To Dil Me Bas Gaya
Kuch Der Aur Sath Rakha To Murza Gaya
Phool Chahe Jesha Bhi Ho Khud Ko
Murzakar Khusbu To Deta Hai
Pyar Ke Liye Hum Kitna Hi Intzaar Kyu
Na Kare Humari Intehaan To Jaroor Leta Hai
Phool To Nadan Hai Jab Chahe Tod Liya
Aur Jab Chahe Chhod Diya
Magar Ye To Dil Hai Fir Bhi Jab Chahe
Chhod Diya B Jab Chahe Fir Se Mod Liya
Pyar Se Ache Ye Phool Hai Kuch Pal Hi
Sahi Magar Khushi To Deta Hai
Pyar Zindagi Bhar Sahi Per Vo
Hume Sirf Intzaar Hi Deta Hai
Pyar Ajkal Kaha Milta Hai Dekho
Un Phoolo Ki Khushboo Ki Mahek Dekho
Un Sagar Ki Lehro Ko Dekho
Un Hawa Ke Jonke Ko Dekho
Nind Ke Sapne Ko Dekho
Suraj Ki Kirne Ko Dekho
Chand Ki Chandani Ko Dekho
Badal Aur Barstaat Ko Dekho
Asmaan Aur Jamin Ko Dekho
In Pasu Ko Dekho In Panchhi Ko Dekho
In Sabhi Se Hume Pyar Milega
Magar Kabhi Insaan Se Insaan Ko Pyar Kabhi Nahi Milega