Pyaar Ki Raahon Pe Bin Soche Chalte Chale Gaye
Ek Ummeed Ke Sahare Tujhe Chaahte Chale Gaye
Log Mujhe Dekh Kar Hanste Rahe Kya Kya Kehte Rahe
Pyaar Pe Vishwas Tha Mujhe Sab Sehte Ham Rahe
Talaashti Rahi Ye Nazrein Ki Kahin To Tum Dikh Jao Ab
Ek Parchaayi Bhi Nahi Dikhi Gumsum Si Dishayein Sab
Akele Hi Aayi Thi Akele Hi Lautna Padega Ab Mujhe
Ankho Me Nahi Wo Chamaknam Hain Aaj Bohat Ye
Mashoor Tum Huye Aur Badnaam Ham Hote Chale Gaye
Fir Bhi Sanam Ham Tumse Bepanah Mohabbat Karte Rahe
Aansuon Ki Kami Nahi Thi Aur Lafz Jaise Kuch Keh Na Sake
Kuch Yun Ham Tooteki Fir Uthkar Khade Bhi Ho Na Sake
Dil Jaise Dhadakna Bhool Gaya Ankhein Pathra Si Gayin
Zindagi Ki Raahein Jaise Ek Hi Pal Me Simatt Si Gayin
Kuch Zyada Hi Umeedein Shayad Main Tumse Laga Baithi
Jeene Ko Jo Mere Paas Ab Ek Bhi Umeed Na Thi Bachi
Pathra Chuki Thi Aankhein Zinda Laash Ban Gayi Main
Ye Thi Meri Dastaan Ishq Me Kuch Yun Barbaad Hui Main