Pyaar Kahoon, Junoon Kahoon- Kya Hain Woh, Hain Sabhi Kuchh Woh Sab Kahin;
Chhaakar Mujhpar Sab Likhwaati Hain Woh, Yeh Kavita Mere Bas Kii Baat Nahin-Â…
Ke Har Shai (World) Mein Uski Surat Lagey , Aur Woh Zindagi Kii Zaroorat Lage;
Duniya Ke Har Tabassum Se Jadi, Mujhe Woh Ekk Jaagti Si Murat Lage;
Roshni Kaa Farq Dikhta Nahin Par, Kahoonaga Kat-Te Din Aur Raat Nahin (Chhakar-Â…)
Chhua Nahin Hain Usko Kabhi, Par Saanson Mein Bas Uski Mehak Hain;
Bhula Deti Hain Sab Kuchh Ke, Tamannaon Mein Bhari Kaisi Ye Kasak Hain;
Hai Shai (Duniya) Aur Jannat Kii Har Khushboo Usmein, Agar Woh Aabe-Hayat Nahin-Â… (Chhakar-Â…)
Bas Ek Baar Unka Deedaar Ho Jaaye, Wo Roop Nirakaar Se Saakaar Ho Jaaye;
Jee Sakta Hoon Uske Bina Bhii Waise To, Par Jeene Kaa Ekk Aadhaar Ho Jaaye;
Sach Hain To Khud Ban Jaayega Wo Rishta, Isliye Maanga Uska Saath Nahin(Chhakar-Â…)
Koi Hain Jo Taaqat Hain In Ufante Lavzon Kii,
Jiska Aangan Hain Meri Ragon Mein Aur Raag Mein;
Ragon Mein Daudti Hain, Aankhon Se Tapakti Hain,
Chetna Hai Har Pal Khushi Ke Mere Bhaag Mein;
Unki Udaasi? Woh Kya Hai? Mere Shabdkosh Mein Ye Naam Nahin (Chhakar-Â…)
Labon Pe Sulagta Angaarey Mere, Aur Jism Mein Tej Hai Jitna;
Rang, Mehak, Taqat, Samajh, Sheetalta, Jo Hai Jahan Hai Jitna;
Usi Ka Saaya Hai Har Jaadoo, Wohi Prerna Hai, Inmein Mera Koi Haath Nahin-Â…
Jab Chaahe Mera Kuchh Bhi Kar Sakti Hai Woh, Lagaayegi Woh Kabhi Ghaat Nahin-Â…
Pyar Kahoon, Junoon Kahoon- Kya Hai Woh, Hain Sabhi Kuchh Woh Sab Kahin;
Chhaakar Mujhpar Sab Likhwaati Hai Woh, Yeh Kavita Mere Bas Ki Baat Nahin-Â…
Amawas Mein Dhoondhne Ki Shart Lagate Ho Hamse Tum;
Kya Jaano Ki Tumhare Rehte Amawas Ho Nahin Sakti
Log Kehte Hain Kii Yeh Pyaar Kuchh Cheez Ajeeb Hai;
Yahan Phoolon Kii Chot Pe Kaanton Kaa Marham Lagta Hai.
Aye Shayar Unki Aankhon Mein Itna Bhii Naa Kho
Kii Unke Dil Tak Jaane Kaa Raasta Bhi Naa Mile
Unhen Paane Ke Liye Jaagna Hii Hoga Tujhe
But Samajh Ke Naa Chhod Jaayen Gar Tere Lavz Naa Hile