Puch Mat Sapno Mein Kis Tarah Milte Hai Ghar
Dekh Le Aankhon Mein Aasha Ki Tarah Palte Hai Ghar
Begharo Se Kabhi Puch To Ghar Ke Sukoon Ki Tishnagi
Janam Se Marne Tak Jinhe Nahi Milte Hai Ghar
Tinka-Tinka Jodkar Woh Khwaabo Ko Apne Buunta Raha,
Khwaab Kabhi To Haqeeqat Ka Rang Lenge,
Yehi Sochkar Dar-Badar Ghoomta Raha,
Phir Bhi Uske Dil Mein Ek Sawaal Sa Khatakta Raha,
Kya Ek Sadharan Insaan Ko Bhi Mehal Jaise Milte Hai Ghar
Jitni Chadar Hai Utne Hi Pair Failaana
Compettion Ke Daur Mein Kabhi Khud Ko Na Aazmana
Home-Loan‚  Ke Zariye Aaj Take-Take Ke Bhaau Bikhte Hai Ghar
Usne Unche Khwaab Dekhe Aur Ghar Sajata Gaya
Apne Kamai Ka Har Hissa Ghar Ki Sajawat Par Lagata Gaya
Aaj Baarisho Mein Bhi Usse Jalta Hua Milta Hai Ghar
Yeh Mehangai Aur Phir Karzo Mein Doobta Hua Insaan,
Dard Ke Tufaan Mein Yahan Jab-Tab Hilta Hai Ghar
Jo Paas Hai Ussi Mein Khushi Manana
Paraye Ghar Ko Dekh Kar Apne Man Ko Na Dagmagana
Khwaish Ghar To Woh Hai Jahan Sab Milkar Khushiyan Mana Sake
Varna Yaha Apno Ki Choti-Choti Ladaiyon Mein,
Sabse Pehle
Hume Bikhra Hua Milta Hai Ghar