Poochnay Waalay Tujhay Kaysai Batain Aakhir
Dukh Ibarat To Nahin Likh Kar Bhaijain
Ya Kahani Bhee Nahin Jo Sunain Tujh Ko
Na Hee Baat Hi Aisi Kay Bataain Tujh Ko
Zakhm Ho To Taray Hathoon Kay Hawalay Kar Daina
Aaina Bhi To Nahin Hay Kay Dikhain Tujh Ko
Too Nay Poocha Hai Magar Kaisay Bataain Tujh Ko
Yay Koi Raaz Nahin, Jisko Chupain To Wo Raaz
Kabhi Chahray, Kabhi Aankhon Say Chilak Jaata Hai
Jaisay Aanchal Ko, Sunbhalay Koi Aur Taiz Hawa
Jab Bhi Chalti Hai To Shanoon Say Dhalak Jaata Hai
Ab Tujhay Kaysay Batain Kay Humain Dukh Kya Hai
Poochnay Waalay Tujhay Kaisay Bataain Aakhir
Dukh To Mahsoos Hooaaa Krta Hai
Chahay Tara Dukh Ho Kay Mara Dukh Ho
Aadmi Wo Hai Jisay Jeetay Jee
Sirf Apna Hi Nahin Sub Ka Dukh Ho
Chaak Ho Jaay Jo Hawas Kay Hathon
Jaamaay Ishq Dobara To Nahin Silta Hai
Aasmaan Mari Zameenoon Pay Jhuka Hai Laikin
Taara Aur Mara Sitarahi Hee Nahin Milta Hai