Poocha Jo Haal-E-Jindgi To Muskurahat Aa Gayi
Derd Chupaya Seene Mein Labo Pe Banawat Aa Gayi
Kitne Ashk Bikhar Jatey, Sambhale They Jo Dil Me
Moti Chunne Ki Khawish Me Kaise Sazavat Aa Gayi

Lafzon Ki Nermi Se Pighal Jatey Hain Pather Bhi
Duniya Ki Dillagi Sochi Tab Kervahat Aa Gayi
Chandni Ke Noor Mein Chamak Rahey They Jo Sheeshy
Aaj Un Mehlon Ke Dil Me Ghabrahat Aa Gayi
Kuch Gujri Hui Batey Kuch Aaney Waley Pal
Jehar Se Bujhe Nashter Per Lagawat Aa Gayi
Rago Me Daurta Hai Khoon Magar Dekha Hai Pani Hi
Jist-E-Safar Me “Sona”Maut Ki Chalavat Aa Gayi