Piyar Kerta Hoon Shayed Per
Izhar Kerna Itna Asaan Tu Nahi
Samajhta Hoon Mushkil Ko Per
Samjhana Itna Asaan Tu Nahi
Dil Mein Tu Bohot Kuch Hey Per
Labon Pay Lana Itna Asaan Tu Nahi
Khud Wo Sub Dukh Jantay Hoye
Dosron Ka Dil Dukhana Itna Asaan Tu Nahi
Apnon Ke Zakhm Dil Mein Chupa Kay
Dil Ka Dharktay Rehna Itna Asaan Tu Nahi
Umeedein Tu Bohot Hein Shayed Per
In Umeedon Ka Poora Hona Itna Asaan Tu Nahi
Ankhon Say Sub Jhalakta Ho Jub
Labon Ka Muskurana Itna Asaan Tu Nahi
Pyar Kya Hey Janta Hoon Per
Dastan Sunana Itna Asaan Tu Nahi
Dil Rota Hey Zarozar Per
Ankhon Ka Num Na Hona Itna Asaan Tu Nahi
Logon Ko Umeedein Hein Mujh Say Per
Zamany Ka Ghulam Hona Itna Asaan Tu Nahi
Us Ik Sachay Din Ko Bhula Ker
Duniya Kay Saath Chulna Itna Asaan Tu Nahi
Dil Hi Na Raha Ho Jub Phir
Dil Ka Toot Jana Itna Asaan Tu Nahi
Sanwarna Chahta Hoon Is Zindagi Ko Mein Bhi Per
Is Bhanwer Ka Sanwer Jana Itna Asaan Tu Nahi
Dua Hey Kay Dil Ko Sakoon Milay Per
Derde Dil Ki Dawa Kerna Itna Asaan To Nahi