Piya Tora Kaisa Abhimaan Kisi Mausam Ka Jhaunka Tha
Jo Is Deewar Par Latki Hui Tasveer Tirchi Kar Gaya Hai
Gaye Sawaan Mein Ye Deewarein Yun Seeli Nahin Thi
Na Jaane Is Dafa Kyun Inmein Seelan Aa Gayi Hai
Darare Pad Gaye Hai Aur Seelan Is Tarha Baithti Hai
Jaise Khushk Rukhsaroon Pe Geele Aansu Chalte Hain
Sadan Sawaan Laayi Karam Waha
Mathura Se Doli Laaye Chaaron Kahaar Nahin Aaye
Kesariya Balma Hamaar Angana Bada Sunsaan Ye Baarish Gungunati Thi
Isi Chhat Ki Munderon Par Ye Baarish Gungunaati Thi
Isi Chhat Ki Mundero Par Ye Ghar Ki Khidkiyon Ke Kaanch Par Ungli Se Likh Jaati Thi Sandese
Bilakhti Rahti Hai Baithi Hui Ab Band Roshandanon Ke Peeche Apne Nayan Se Neer Bahaye
Apni Jamuna Khud Aap Hi Banave Dupaharein Aisi Lagti Hain
Bina Moharon Ke Khaali Khaane Rakhe Hain
Na Koi Khelne Wala Hai Baazi Aur Na Koi Chaal Chalta Hai
Laakh Baar Usmein Hi Nahaye Purana Hui Asnaan Phir Purana Hui Asnaan
Sukhe Kes Roothe Bhes Manva Bejaan
Na Din Hota Hai Na Ab Raat Hoti Hai Sabhi Kuch Ruk Gaya Hai
Woh Kya Mausam Ka Jhonka Tha Jo Is Deewar Par Latki Hui Tasveer Tirchi Kar Gaya Hai
Piya Tora Kaisa Abhimaan Tora Piya Tora Tora Tora Kaisa Abhimaan Piya Tora