Pichlee Saree Ghzalen Ab To Baat Puranee Lagtee Hai
Ab Jo Likhta Hoon Me Pariyon Kee Kahanee Lagtee Hai
Ham Jaise Deevanon Ko Duniya Ye Suhanee Lagtee Hai
Pandil Mulla Hain Wo Jinko Bas Anee-Janee Lagee Hai
Jo Bee Is Ke Safar Main Dooba Us Ne Kinara Paya Hai
Tootee See Hai Pyar Kee Kashti Aur Purani Lagtee Hai
Aaj Mujhe Ye Saree Duniya Ham Jaise Hee Dikhtee Hai
Har Laraka Thora Sa Pagal Larki Deevanee Lagtee Hai
Koyee Kahanee Kah Doon To Ghzalon Kee Tarah Parhte Hain
Meree Saree Ghazalen Un Ko Koyee Kahanee Lagtee Hai
Kal Kee Hai Ye Baat Koyee Pyar Main Jan Bhee Deta Tha
Aaj Kee Naslon Ko Aisee Har Baat Puranee Lagtee Hai
Chand Kee Apnee Mzabooree Hai Aye Wo Ke Na Ayee Par
Wo Jab Chhat Pe Atee Hai To Sham Suhanee Lagtee Hai
Duniya Kee Dolat Bhool Ke Soch Dono Sath Jo Hote Hain
Main Raja Sa Dikhta Hoon Too Bhee Ik Ranee Lagtee Hai
Kaise Mazi Bhooloon Main Kaise Ye Rang Nayee Bharoon
Kya Karoon Jo Tum Ko Meree Ghazal Puranee Lagtee Hai
Jis Pahar Me Dekhoon Main Us Ko Dikhta Uska Roop Naya
Subah Os Kee Boond Raatko Raat Kee Ranee Lagteee Hai
Do Roz Nahee Miloon Us Ko To Ankh Me Panee Hota Hai
Mil Jayoon Tanhayee Main To Wo Panee Panee Lagtee Hai