Phir Ye Beicheni Kyon
Kyon Main Itna Kamp-Kampaata Hun,
Kya Sochkar Mai Likhne Baitha Hun Kuchh
Or Kyon Main Theek Se Likh Naa Paata Hoon,
Ye Kiske Diye Hain Jo
Diwaali Se Pehle Hii Bikhar Gaye,
Ye Keise Log Hain Jo Apne Ghar Ke Khaatir
Kisi Kaa Ghar Raakh Kar Gaye
Ye Dhunve Kya Gubbar Hai Ya
Maut Kitni Hi Saansein Uda Le Jaa Rahi Hain,
Mai Kyon Nishabd Sa Khada Huun Yahaan
Mere Peron Tale Jameen Kyon Khisakti Jaa Rahi Hain,
Ab To Chhod De Ey Maa Tu Ungli Apne Laal Kii
Tu Bhi Laash Or Wo Bhii Laash Jise Tu Bacha Rahi Hain,
Mai Keise Chup-Chaap So Jaaun Jabki
Wo Aawaajein Abtak Mere Zehen Me Chil.La Rahi Hai,
‘Wo’ Laash Ho Gai Jo Kuchh Der Pehle
Mol-Bhaav Karti Chehchahaati Thii,
Wo Soorat Ab Jhulaskar Khaak Ho Gai Hain,
Jise Kuchh Der Pehle Tak Mohak Nazar Aati Thii,
Mai Logon Ke Chehre Dekhta Tha
Wo Sadkon Pe Bhaagte Nazar Aate The,
Phir Koi Apna Reh Gaya Shaayad
Or Wo Palatkar Laut Aate The
Mai Hairaan Tha Main Pareshaan Tha
Yoon To Be Mausam Baras Jaata Hai Ye Baadal,
Kaash Aaj Koi Us Bhagwaan Kii Aatma Jaga De
Bemausam Hii Sahi Ey Indra Tu Jal Barsaa De,
Kisi Ki Jindagi Is Aag Mei Chhatpataati Hain
Kitni Hi Anjaani Cheekhon Kii Aawaaj Daraati Hain,
Sochta Hoon Un Haiwaanon Kii
Ye Haiwaaniyat Mai Bhool Jaaunga
Kal Phir Ekk Nai Subeh Hogi Or Mai
Phir Mai Apni Dincharya Mein Kho Jaaunga