Phir Se Hamesha Ki Tarha Ayee Hai Aaj Woh Raat
Ke Bechain Kar De Lele Har Saans Teri Baat
Aaj Phir Se Kiye Dete Hain Lafzon Me Dil Ki Baat Ko Beyaan
Aao Sunaaein Tumhe Hamari Judaai Ki Dastaan
Lagta Hai Aise Barson Pehle Ki Hai Baat
Tumne Mujhe Apna Kaha Aur Thi Chandni Raat
Ham To Aap Ke Saath Hi Hasne Lage
Aur Agar Dil Chaha To Aap Ke Saath Hi Rone Lage
Tumne Aa Kar Meri Zindagi Me
Bar Diya Tha Use Muskhurahaton Se
Thi Is Pyar Ki Jarr To Jhooth
Par Sachai Kehte Hi Sare Sapne Gaye Bikhar Ke Thooth
Kyun Kiya Aap Ne Aisa Mere Saath
Kyun Banaya Mujhe Apna Kehke Aisi Baat
Gham Is Baat Ka Nahi Ke Banaya Tune Mujhe Apna
Gham Is Baat Ka Nahi Dikhayaa Tune Hame Yeh Sapna
Hai To Sirf Dard Teri Judaai Ka
Dard Hai To Sirf Is Tanhaai Ka
Yeh Yaad Bikhar Ne Par Karti Hai Majboor Har Pal
Pehle Thora Sa Jalati Hai Aur Phir Kehti Hai Hamesha Isi Me Jal
Teri Yaad Ne To Jalaa Kar Kar Diya Hame Raag
Har Taraf Hain Bas Isi Me Jaljaane Ke Daag
Teri Yaad Me Ham Chun Ke Ansoon Roein
Bata Mujhe Ham Tere Bin Kaise Soein
Kitni Hai Tujhse Mohabbat Yeh Beyaan Karne Ke Kabil Nahi
Sach To Yeh Hai Meri Is Mohabbat Ki To Koi Hadh Hi Nahi
Kya Karun Me Apni Mohabbat Lafzon Me Beyaan
Yeh Bhi Bechare Gham Me Ghire Sun Ke Meri Dastaan
Aankhen Bichaye Teri Rahon Par
Jiti Hoon Main Hazaron Baar Mar Kar
Jaane Kab Us Paak Zaat Khuda Ko Reham Aaye Ga
Jaane Kab Woh Aap Ko Hamse Milae Ga