Phir Main Hun Aur Meri Tanhayee Hai
Aur Yeh Shab Hai Jis Ne
Teri Yaad Ki Shamaa Jalayee Hai
Jab Shaam Ke Saaye Badhne Lagte Hain
Kuch Aajeeb Se Jazbe Bikherne Lagte Hain
Kabhi Hathoon Ki Sersarahat Shanoon Per
Kabhi Ser Ka Ehsas Kandhoon Per
Kabhi Tumhari Bahakti Taaiz Sansain
Mil Jaati Hain Meri Saansoon Mein
Kabhi Tumahre Badan Ki Khushboo
Sama Jaati Meri Saansoon Mein
Yeh Kis Ehsaas Mein Kho Jata Hun
Yeh Kis Khayal Mein Gum Ho Jata Hun
Kabhi Tumhare Khanakte Qahqahe
Goonjte Hain Mere Kanon Mein
Kabhi Tumhare Aansuon Ki Namee
Mahsoos Hooti Hai Mere Galon Mein
Sherma Ker Yun Kabhi
Saherzada Aankhon Se Dekhna Tera
Aur Achanak Hath Pakad Ker
Ghabra Ker Bahon Mein Sametna Tera
Phir Tere Badan Ki Khushboo
Aur Sansoon Ki Hararat Mein
Tere Khaboon Mein Kho Jata Hun
Isi Kashmakash Mein Kuch Dare So Jata Hun
Yakayak Tere Hathoon Ke Lams Se Uth Jata Hun
Aur Phir Main Hun Aur Meri Tanhayee Hai
Yeh Shab Hai Jis Ne Teri Yaad Ki Shamaa Jalayee Hai