Phir Ek Din Aisaa Aayegaa
Aankhon Ke Diye Bujh Jaayenge
Haathon Ke Kanval Kumhalaayenge
Aur Barg-E-Zabaan Se Nataq-Va-Sadaa
Kii Har Titalii Ud Jaayegii
Ik Kaale Samandar Kii Tah Men
Kaliyon Kii Tarah Se Khilatii Hu_ii
Phuulon Kii Tarah Se Hansatii Hu_ii
Saarii Shaklen Kho Jaayengii
Khuun Kii Gardish Dil Kii Dhadakan
Sab Rangiiniyaan So Jaayengii
Aur Niilii Fazaa Kii Makhmal Par
Hansatii Hu_ii Hiire Kii Ye Kaanii
Ye Merii Jannat Merii Zamiin
Is Kii Subahen Is Kii Shaamen
Bejaane Hue Besamajhe Hue
Ik Musht Gubaar-E-Insaan Par
Shabanam Kii Ro Jaayengii
Har Chiiz Bhulaa Dii Jaayegii
Yaadon Ke Hasiin But_khaane Se
Har Chiiz Uthaa Dii Jaayegii
Phir Ko_ii Nahiin Ye Puuchhegaa
‘Sardar’ Kahaan Hai Mahafil Men
Lekin Main Yahaan Phir Aa_uungaa
Bachchon Ke Dahan Se Boluungaa
Chidiyon Kii Zabaan Se Gaa_uungaa
Jab Biij Hansenge Dharatii Men
Aur Konpalen Apanii Ungalii Se
Mittii Kii Tahon Ko Chhedengii
Main Pattii Pattii Kalii Kalii
Apanii Aankhen Phir Kholuungaa
Sar Sabz Hathelii Par Lekar
Shabanam Ke Qatre Tuluungaa
Main Rang-E-Henaa Aahang-E-Gazal
Andaaz-E-Sukhan Ban Jaa_uungaa
Rukhsaar-E-Uruus-E-Nau Kii Tarah
Har Aanchal Se Chhan Jaa_uungaa
Jaadon Kii Havaayen Daaman Men
Jab Fasal-E-Khazaan Ko Laayengii
Rahruu Ke Javaan Qadamon Ke Tale
Suukhe Hue Patton Se Mere
Hansane Kii Sadaayen Aayengii
Dharatii Kii Sunaharii Sab Nadiyaan
Aakaash Kii Niilii Sab Jhiilen
Hastii Se Merii Bhar Jaayengii
Aur Saaraa Zamaanaa Dekhegaa
Har Qissaa Meraa Afsaanaa Hai
Har Aashiq Hai Saradaar Yahaan
Har Maashuuqaa Sultaanaa Hai
Main Ek Gurezaan Lamhaa Huun
Ayyaam Ke Afsuun_khaane Men
Main Ek Tadapataa Qatraa Huun
Masaruuf-E-Safar Jo Rahataa Hai
Maazii Kii Suraahii Ke Dil Se
Mustaqbil Ke Paimaane Men
Main Sotaa Huun Aur Jaagataa Huun
Aur Jaag Ke Phir So Jaataa Huun
Sadiyon Kaa Puraanaa Khel Huun Main
Main Mar Ke Amar Ho Jaataa Huun