Phir Baithe Hai Akhele Par Man Me Shanti Bhi Samayi Hai
Talash Ti Jis Manzil Ki Akhir Kar Wohi Humne Aaj Payi Hai
Phir Bhi Ek Bechaini Si Bhi Hai Dil Ke Kisi Kone Me
Kya Kush Hoon Mai Is Manzil Se Jo Zindagi Ne Hume Dikhayi Hai
Kya Badla Hai Akhir Kuch Bhi To Nahin Anth Me
Pehle Bhi Te Akhele Hum Mili Aaj Bhi To Hume Tanhai Hai
Ankhon Me Sapne Lekar Chal Pade The Apni Manzil Ki Aur
Kya Jana Tha Humne To Sirf Khwabon Me Hi Zindagi Basayi Hai
Ek Manzil Hi Nahin Anth Zindagi Ke Raston Ka Ke Chup Chap Baith Gaye
Manzil Se Aage Bhi Chalna Hota Hai Yehi Zindagi Ki Karwayi Hai
Chalo Meena Agge Ke Aur Bado Apni Zindagi Ki Raha Me
Bahare To Mili Nahin Bas Charon Aur Virani Si Chayi Hai