Phhol Hota To Tere Dar Pe Saja Bhi Deta
Zakham Teri Dehleez Per Laon Kaise
Payamber Na Muyaser Hua To Kia Khoob Hua
Zabaan Gher Se Kia Sherh-E-Arzoo Kerte
Paas Jab Tak Woh Rahe Dard Thama Rehta Hai
Phelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah
Aks Khushbo Hon Bikherne Se Na Roke Koi
Aur Bikher Jaon To Na Samete Koi.
Jis Tarah Khuwab Ho Gae Gae Reza Reza
Is Tarah Se Na Kabhi Tot Ker Bikhre Koi.
A Mere Gul-E-Zameen Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab Ki
Aahl-E-Kitaab Ne Mager Tera Kia Haal Ker Dia.
Woh Jawab De Ker Bhi Der Tak Sochta Raha
Koi Baat Sawal Mein Mere Aa Agai
Too Badlta Hai To Be Saakhta Meri Aankhen
Apne Haathon Ki Lakeeron Se Ulajh Jaati Hein.
Ek Se Musaafir Hein Ek Saa Muqader
Mein Zameen Per Tanha Aur Woh Asmanon Per Chaand
Woh Jawaz Dhoondh Rahi Thi Nai Muhabat Ka
Keh Rahi Thi Mein Us Ko Bhool Jaoon