Phaila Hai Daaman Magar Labb Par Harf-E-Dua Nahi
Bin Maange Na Ho Inaayat,Aisa To Khuda Nahi
Teri Yaadon Se Roshan Hoti Hai Khilwat-E-Gham
Bam-O-Dar Pe Koi Diya Agarchey Jala Nahi
Chahtey Hain Tujh Ko Ham Apni Rooh Ki Gehraaion Se
Teri Be-Rukhi To Sanam Meri Wafa Ka Sila Nahi
Tere Piar Ke Jugnoo Sada Meri Zindagi Mein Chamken
Aaey Na Koi Lamha Jis Mein Tere Piar Ki Ziaa Nahi
Ek Gumnaam Si Kasak Dil Mein Rehti Hai Hardam
Maana Ke Tera Mera Milan Ka Koi Silsala Nahi
Chalte Hi Jaaen Ge Garchey Raah-E-Wafa Hai Dushwar Bahot
Ke Pallat Jaane Ka To Abb Koi Raasta Hi Nahi
Saari Umar Saath Na Bhi Raho Agar Tum Mere
Doore Rehne Se Jo Toote Aisa Yeh Naata Nahi
Kar Doon Tujh Pe Fida Main Har Khushi Apni
Chaahun Tujhe Itna,Jitna Kisi Ne Chaha Nahi
Aay Dost Naseeb Ho Tujh Ko Umar-E-Abad
Ke Mere Dil Mein Koi Duaa Is Ke Siwa Nahi