Pesh-E-Dil-E-Naashad Kyaa Karunga Tujhko Bewafa
Waakif Hain Hum Teri Jakhm-E-Inaayat Se Aaj Tak
Waise To Ahal-E-Dil Naasamajh Thaa Magar
Dekhe Hain Bahut Ishq-E-Rawayat Bhee Aaj Tak
Hum To Samjhe The Ki Ye Phul Se Badan Wale
Dil-E-Aashiyane Mein Bahar Khila Dete Hain
Jab Uthhaya Gum-E-Ishq To Ye Samajhe
Ye Adaaon Se Apni Jakhmon Ka Sila Dete Hain
Jab Bhee Aati Hai Ghadi Inke Paas Aane Ki
Nigahon Se Apni Behoshi Ka Zaam Pila Dete Hain
Payaam-E-Ishq De Rahin Thi Nigahen Jhuki Hui
Zulfon Ko Jo Bikhera To Kaatil Kaha Use Maine
Waakif Nahin The Hum Intihan-E-Ishq Se Warna
Kyaa Mazaal Thi Hum Uspe Hi Mar Gaye Hote
Shaheed-E-Mohabbat Huato Samhajh Mein Aaya
Haay Kyaa Baat Hai Watan Aur Ishq Mein Marne Waalon