Pehle Samjhen To Sahiih Raahguzar Ki Baaten
Phir Mila Waqt Tau Kar Lenge Safar Kii Baaten
Log Kehtey Hain Ke Deevaaren Bhi Sun Leti Hain
ghar Se Bahar Bhi Chalii Jaati Hain Ghar Kii Baaten
Lafz-E-Bema-‘ni Hai Is Daur Men Ulfat Kyuunke
Log Karte Hain Faqat La-‘l-O-Gohar Kii Baaten
Jab Jigar Men Ho Faqat Ek Junuun Manzil Ka
Kaun Karta Hai Bhala Khauf-O-Khatar Kii Baaten
Humko Aati Hai Mohabbat Ki Zabaan Hi Kyuunke
Ismen Hoti Hi Nahiin Zer-O-Zabar Kii Baaten
Iski Mitti Se Na Utth Jaaye Kahiin Buu-E-Khuluus
Ab Bohat Gaon Men Sunta Huun Shahar Kii Baaten
Apni Aankhon Men Ummedon Ke Ujaale Lekar
Humne Raaton Se Bohat Kii Hain Sahar Kii Baaten
Jaagtey Hain Tau Andheron Men Bhatak Jaate Hain
Log Bas Neend Men Karte Hain Sahar Kii Baaten